Sunday, May 8, 2011

Maa..Poetry sent by Sara Jameel


Mout Ki Aaghosh Me Jab Thak Ke Soo Jati Hai Maa
Tab Kahin Ja Kar ‘Raza’ Thora Suku Pati Hai Maa
Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Budhi Nazar Aati Hai Maa
Rooh Ke Rishtay Ki Yeah Gehrayian To Daikheye
Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa
Oadthi hai hasrathoan ka khud to bosida kafan
chahatoan ka payrahan bachoan ko pehnathi hai maa
Ek ek hasrath ko apne azm wo istekhal se Anso’oan se
ghusl de ker khud hi dhafna thi hai maa
Bhuka rehne hi nahi dethi yateemon ko khabhi
Jane kiskis se kahan se mang kar lati hai maa
Haddiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Ke Chain Ko
Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa
Jane Kitne Barf Si Ratoon Me Aysa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pe Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa
Jab Khilone Ko Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool
Aansoon Ke Saaz Par Bachay Ko Behlati Hai Maa
Fiker Ke Shamshaan Me Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakdeyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa
Bhook se majboor ho kar mahmaan kai samne
mangtea bachche jab roti to sharmati hai Maa
Zindigi ki siskiyaan sun kar hoos ai shahar se
Bhookai bachchoon ki giza apna kafan lati hai Maa
Muflisi bache ki zid par jab utha leti hai haath
Jaisea ho mujrim koi is tarha sharmati hai maa
Apnay Aanchal Se Gulabi Aansuoon Ko Poonch Kar
Dair Tak Gurbat Pe Apne Ashk Barsati Hai Maa
samne Bachoon Ke Khush Rahti Hai Har Ik Haal Main
Raat Ko Chup Chup Ke Laikin Ashk Bersati Hai Maa
Kab Zarurat Ho Meri Bachay Ko Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Ma
Pehlay Bachoon Ko Khilati Hai Sukoon-o-Chain Se
Baad Mai Jo Kuch Bacha ho Shouk Se Khati Hai Maa
Mangti Hi Kuch Nahi ApnaeaLeye ALLAH Se
Apnea Bachoon Ke Leye Daman Ko Phailati Hai Maa
De ek bimaar bachche ko duain aur dwa
sarhanea hi rakh kai sar kadmoon pa so jati hai Maa
Jane Anjane me hojaye jo bachoan se khusoor
Ek anjaani sazaa ke dar se tharrathi hai maa
Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Suli Pe Chard Jati Hai Maa
Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharaz
Be-Gharaz, Be-Lous, Har Khidmat Ko Kar Jati Hai Maa
Apne bachoan ki bahaar-e-zindagi ke waste
Ansooan ke phool har mausam me barsati hai maa
Zindigi bhar beenti hai khaar rahe zeest se
jate jate naimate firdos de jati hai Maa
Bazuwoon Me Khinch Ke Aajayegi Jaise Kayenat
Apnai Bachay Ke Leye Bahoon Ko Phailati Hai Maa
Ek ek hamle se bachche ko bahanai kai liya
Dhall banti hai khabhi talwar baan jati hai Maa
Zindagani Ke Safar Me Gardishoon Ki Dhoop Mai
Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa
Pyar Kehtai Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa
Pehle dil ko saaf kar ke khoob apnai khoon se
dharkanoo pa kalma-e-tawheed likh jati hai Maa
Safha-e-Hasti Pe Likhti Hai Usool-e-Zindagi
Is Liye Ek Maktab-e-Islam Kehlati Hai Maa
Us Nayi Duniya Ko Diye Masoom Rahber Is Leye
Azmatoon Me Sani-e-Quran Kehlati Hai Maa
Ghar Se Jab Pardes JaTa Hai Koie Noor-e-Nazar
Haath Main Qur’an Le Kar Dar Pe Aajati Hai Maa
De Ke Bachay Ko Zamanat Main Raza-e-Pak Ki
Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa
Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai “Baita alwida”
Samne Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa
Ris ne lagta hai poranai zakhm se taza lahoo
Hasratoon ki bolti tasveer ban jati hai Maa
Jab Parayshani Me Ghir Jate Hain Hum Pardes Me
Aanso Ko Poanch Ne Khwaboo Me Aajati Hai Maa
Lout kai wapas safar se jab bhi ghar aate hain hum
Daal kar bahain gale main sar ko sehlati hai Maa
Aisa lagta hai kai jaise aagea firdoos me
bhinch kar bahoon main jab seenai se liptati hai Maa
Dair Ho Jati He Ghar Aane Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa
Marte Dam Bacha Na aapaya agar Pardes Se
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa
Baad Mar Janaea Ke Phir Baite Ki Khidmat Ke Leye
Bhes Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa
Hum blaaoo main kahin ghirtea hain to be iktiyaar
khair ho bachche ki kah kai dar pa aa jati hai Maa
Door ho jata hai jab aankhoon se godi ka lal
Dil ko hathoon se pakar kai ghar ko aa jati hai Maa
Doosrea hi din se rahti hai khatoon ki muntazir
Dar pa aahat ho hwa se bhi to aa jati hai Maa
Chahe hum khushyoun me maa ko bhool jayen doasto
Jab musibat sar pe aati hai tho yaad aati hai maa
Door Ho Jati Hai Sari Omr Ki Us Dum Thakan
Biyah Kar Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa
Cheen lati hai wohi aksar sukoon-e-zindagi
Pyar se dhulhan bana kar jis ko ghar lati hai maa
Phair laaatea hai nazar jis waqt baita aur bahu
ajnabi apne hi ghar hai baan jati hai Maa
Hamne ye bhi tho nahi soachan alaag hone ke baad
Jab diya hi khuch nahi ham ne tho kya khati hai maa
Zabt tho dakho ke itni berukhi ke baujood
Bd dua deti hai hargis aur na pashtati hai maa
Allah Allah bhool kar ek sitam ko raat din
pooti poote se shakista dil ko behlati hai Maa
Baita kitna hi bora ho par parosan kai hozoor
Rook kar jazbaat ko baitai kai gun gati hai Maa
Shadiyaan kar kar kai bachche ja basai pardes mai
Dil khatoon se aur tasveeron se bahlati hai Maa
Apne sinai par rakhai hai kainatai zindigi
Ye zamin is wastai ae dost kahlati hai Maa
Saal bhar me ya khabhi hafte me jumeraat ko
Zindagi bhar ka sila ek Fateha pati hai maa
Gumraahi ki gard jam jai na merai chand par
Barishe imaan main yoon roz nehlati hai Maa
Apne pehlu me lita kar roz totea ki tarha
Eik barah panch chouda ham ko ratwati hai maa



1 comment:

Zara Haleem said...

WAH WAH WAH

Post a Comment