Saturday, May 7, 2011

Maa...Poetry Sent by Zara Haleem



Tu Jo Paida Howa Kitna Majbor Tha
Ye Jaha Teri Socho Se Bhi Door Tha
Hath Paon Bhi Tab Teray Apnay Na Thay
Teri Ankhon Mein Duniya Ke Sapnay Na Thay

Tujh Ko Atta Tha Jo Srif Rona Hi Tha
Dodh Pi Kar Tera Kaam Srif Sona Hi Tha
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Mai Basaya Tha Maa Ne Teri

Maa Ke Saye Mein Tu Parwan Charnay Laga
Waqat Ke Sath Qaad Tera Bharnay Laga
Deheray Dheeray Tu Kariyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Sara Jaha Phir Meharban Hogaya

Zor_E_Bazo Pe Tu Bat Karnay Laga
Khud Samjhnay Laga Khud Sawarnay Laga
Ik Din Aik Haseena Tuje Baha Gai
Ban Ke Duhlan Phir Wo Tere Ghar Agai

Apnay Faraz Se Tu Door Honay Laga
Beach Nafrat Ka Kuhd Tu Bonay Laga
Phir Maa Ko Apni Tu Bhulanay Laga
Teir Bato Ka Phir Tu Chalanay Laga

Bat Bat Pe Us Se Tu Larnay Laga
Qaida Ik Naya Tu Pahrnay Laga
Yad Kar Tujh Se Maa Nay Kaha Ik Din
Ab Mera Guzara Nahi Hay Tere Bin

Sun Kar Ye Bat Tu Taish Mai Agaya
Tera Gusa Teri Aqal Ko Kah Gaya
Josh Mai Aa Kar Tu Ne Maa Se Kaha
Mai Kahmosh Tha Dekhta Raha

Ajj Kheta Ho Pecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Torr Do
Jao Kahi Ja Kar Kam Dhanda Karo
Log Martay Hain Tum Bhi Kahi Ja Maro

Beth Kar Ahha Bharti Thi Woh Rat Bhar
Na Howa Uski Ahha Ka Tujh Per Asar
Zindagi Har Dum Usay Phir Satati Rahi
Khon Ke Ansoo Usay Phir Pilati Rahi

Ik Din Muot Ko Bhi Taras Agya
Us Ka Rona Taqdeer Ko Baha Gaya
Asahk Ankhoon mein le kar Kar Rawana Hoi
Ik Hichki Ajjal Ka Bahana Hoi

Mudatain Hogai Ajj Bhora Hai Tu
Jo Para Toti Khutiya Pe Kora Hai Tu
Tere Bachay Bhi Ab Tujh Se Dartay Nai
Nafratain Hain Mohbbat Wo Kartay Nai

Dard Mai Tu Pukaray "O Meri Maa"
Tere Dum Say Roshan Tha Yeh Mera Jaha
Waqat Chalta Rahta Hai Rukta Nai
Tot Jata Hai Woh Jo Juhkta Nahi

Ban Ke Tu Ibrat Ka Nisha Rah Gaya
Dhund Per Bana Tera Makan Rah Gaya
Kat Le Tu Wohi Tune Boya Tha Jo
Tujh Ko Kasay Milay Tune Khoya Tha Jo




4 comments:

Aamir said...

very nicely written........i have no words to express my feelings.

Muhammad Iqbal Ahmed Memon said...

Really wonderful,jitni bhi taa'rif ki jaa'e woh kum hey.

Zara Haleem said...

shukriya...waqai jis ki bhi shahiri hai buht khubsurat hai

Anonymous said...

Hi. I wanted to drop you a fast be aware to specific my thanks.
Ive been following your blog for a month or so and have picked up a
ton of good information and enjoyed the method youve
structured your site. I am trying to run my very personal blog nevertheless I feel its
too normal and I have to give attention to a variety of
smaller topics. Being all things to all of us will not be
all that its cracked as much as be

Here is my webpage: having trouble getting pregnant the third time

Post a Comment