Pages

Saturday, August 13, 2011

Me to dekhonga tum bhi dekhoge......!!!!


Mujhe yaad hai hum bachpan me kitne shoq se 14 August  manaya karte the.1st August se hum tayarian kia karte they k 14th August kaise manana hai.School khulte bhi nahi they aur hum sab dost socha karte they is 14 August ko school ki celebration me kia kia karna hai.Hum bache yeh kabhi nahi sochte they k agar 14th ko halaat kharab hue to is sari tayari ka kia hoga...?humain kabhi bhi yeh nahi sochna parta tha k July k end me koi drama tayar karne k lie agar hum kisi dost k ghar ja rahe hain to uska area safe hai ya nahi.Blast ka lafz hum ne khushi me suna tha ...".Oh that was great infact it was a blast...!!!!!!!!" Firing sirf hawai firing hoti thi jo kabhi kabhar shadion me ya cricket matches jeetne k baad kia jati thi.


Is August Me ne buht se bachon se pocha k wo 14 august kaise manayeinge..mujhe kahin se koi positive jawab nahi mila kahin depression kahin mazaq.Kisi ne kaha bhai so k aur kia karna  hai to kise ne kaha indian movie dekhne ka plan hai.Aik teenager ne kaha tv dekhonga k kahan halat kharab hain aur kitne log shot down hue hain aur aik ne what is there to celebrate.

Waqai sochne ki baat to hai k what is there to celebrate but is sari negativity me kahin kuch missing nahi ho raha? hum apne bachon ko hope dena bhool rahe hain.Subah se shaam tak doston ki gatherings me,apne gahr aane wale memoanon k samne,Tv dekhte hue,raston me her her jaga hum apne mulk ki burai karte hote hain aur yeh aik lamhe ko bhi nahi sochte k hum apne bachon k masoom zehnon me zehr gholte ja rahe hain aur us se bhi barh kar aik cheez hum us diye ko bujhate ja rahe hain jise umeed kehte hain.jo zindagi ki alamat hai..jo behtri ki zamin hai....humare bachon k pass jis cheez ki sab se ziyada kami hai wo umeed ki hai.

Aaj  13 August hai.Kam se Kam  apne bachon k lie is hope ko zinda rakhna mera farz hai ye umeed k andhera kitna bhi ho roshni ki aik kiran use khatam kar deti hai.Meri khuwaish aur koshish hai k wo apne mulk se muhabat karein aur usk lie kuch kar sakein.inke dil talkhian nahi muhabatein hon.Hum aaj bhi apne gahr me jhandian lagayeinge aur is din ko wesey hi manayeinge jaise hum apne bachpan me manate they kyoun k mujhe yaqeen hain ..Me to dekhonga tum bhi dekhoge..... jab roti sasti hogi aur mehngi hogi jaan... wo din phir ayega jab aisa hoga Pakistan!!!!!

3 comments:

Aamir Attara said...

Bohat khoob...
Waqai jo sab se zyada zaroori he aur unfortunately sab se zyada missing he woh Umeed hi he
Khair lekin MEN TO DEKHON GA...TUM BHI DEKHO GE...

Anonymous said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Anonymous said...
This comment has been removed by a blog administrator.

Post a Comment